
kanwal
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha, mujhe bazaar mile.
zindagi aur bata tera iraada kya hai.
Jo bhi takdeer banata hoon, bigarh jaati hai
dekhte dekhte duniya hi ujad jaati hai.
meri kashti tera toofaan se vaada kya hai,
zindagi aur bata tera iraada kya hai.
Tune jo dard diya, uski kasam khata hoon
itna jyaada hai ke, ehsaas daba jata hoon.
meri takdeer bata, aur takaaza kya hai,
zindagi aur bata tera iraada kya hai.
maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi
apni aankhon se muhabbat ki tijaarat dekhi.
aisi duniya mein mere waaste rakha kya hai,
zindagi aur bata tera iraada kya hai.
Aadmi chahe to takdeer badal sakta hai
poori duniya ki wo tasveer badal sakta hai.
admi soch to le, uska iraada kya hai,
zindagi aur bata tera iraada kya hai.