Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay, Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay... Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay, Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay... Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay, Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay... Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay, Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay... Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay, Phir 'Aag ka Darya' hay aur 'Doob' kay jana hay...!!!
ek tumhari chahat mai apna dil laga behte... Arzooo tumhare thi khud ko bhula baithay... yad hai tumay wo pal jab tum muskurate the... us ghari ko ankhon mai phir sai basa baithay... kis kdar bhigoya tha hum nai apni ankhon ko... yad ker ke us ko phir mehfilain saja baithay... kia khata hamare thi kion jalay muhabbat mai... or usi ke sholon mai apna dil jala baithay... tum to ik musafir thay,tum ko door jana tha... wo tu hum he pagal thay apna sab kuch luta baithay...
zindagi bewafa kun hote hai... mohabbat ki saza kun hote hai... choti si baat pe baha dete hain khoon... Insaan main itni ana kun hote hai... kerte hain hum jis se her bar touba... Elahi mujh se wohi khata kun hote hai... uraah ke le jaye jo gareeb ke aashianay ko... ya Rab aisi hawa kun hote hai... banate to hain hum apne hathon se masjid... namaz apni hi qaza kun hote hai... dekhi nahi jis ne kabhi koi khushi... ghamon ki saugat phir usi ko ataa kun hote hai...
Zindagi ki raahon mein bahut se yaar milenge, Hum kya humse bhi achhe hazaar milenge, In achhon ki bheed mein humein naa bhula dena, Hum kahan aapko baar baar milenge. luti wafaon ka ab aitbar mat kerna gae dinon ka kabhi intizar mat kerna mohabaton ka junun tum ko tor dale ga mohabaton k samander ko par mat kerna yeh khuwab ankhon ko ik din jala k rakh dain ge kabhi bhi sapnon ki dehleez par mat kerna sukhon ka khoon na kerna tum apne hathon se kabhi bhi piyar ka khud ko shakar mat kerna yeh ishq laakh chupao kabhi nahi chupta safer k shok main paon figar mat kerna
Musafir to bechartay rehtay hein rafaqat kab badalti hai mohabat zinda rehti hai mohabat kab badalti hai
tumhi ko chahtay hein tumhi say pyaar kartay hein yeh hai barsoon ki aadat aur aadat kab badalti hai
kalee ka phool banna or bikhar jana muqaddar hai yahi qanoonay fitrat hai or fitrat kab badalti hai
badel jatay hein musam phoolon mein khushboo nahi rehti maggar chahat k phoolon ki latafat kab badalti hai
تڑپ میری، عشق تیرا نایاب ہو جائے جلوہ یوں ہو کہ بے حساب ہو جائے قُدرت اس قدر وہاں اے ساقی فقیر سے جی، پھر جناب ہو جائے گردشِ ایام کچھ دیر تو سونے دو لوری یا آدھا خواب ہو جائے ہوئی قید رندوبد کو اب ناصح خواہش کہ شراب و شباب ہو جائے سوچے عاطف جب چاند چہرے کو کلی کلی کھلے گلاب ہو جائے
tujhe dekhna chaahta hoon her pal
shayad tujhse bohot pyar karta hoon
kal tak to tujhe jaanta bhi na tha
aaj tera intezaar karta hoon
mujhko udaas dekh ker, zamany nay yeh sawal kiya
woh kaun hai zalim, jisnay tera yeh haal kiya
maine kaha woh mohabbat hai, jo muri unkay saath hai
woh nikli bewafa zalim, bus itni si baat hai
Kucch log sitam karne ko tayyar bethey hain kucch log mager humpe dil har bethey hain
iss kashmakash main pehchane nahi jate kahan dushman aur kahan dost yar bethey hain
ishq ko aag ka darya hi samjhl ijiyeh huzoor koi iss paar tou koi uss paar bethey hain
kon kehta hai ke iss sheher main sare hain bewafa humare samne wafadar dou chaar bethey hain
kal tak jinhein hasrat thi humein badnam karne ki aj wahi log apne kiye pe sharamsar bethey hain
duniya se rooth jane ki khuwahish hai humari kya karoon iss khuwahish pe pehredaar bethey hain
Barishoon ka intezar tha dil milne ko bekarar tha
ek taraf judai ek taraf unka pyar tha kuch ankahi ansuni baatein thi zuban par dil mei kuch shararat bhara khumar tha
socha tha jub milenge khoob saari baatein hongi par baaton ka kya dil to pyar ka bimaar tha
woh pyar deta to saare dard -o-ghum door ho jaate dil chah kar bhi milna payaa unse darta tha phir juda ho jaye ga pal bhar ka jo deedar tha